mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai
mire hāthoñ meñ ubhrā hai ye naqsha kis tarah kā hai
mirī āñkhoñ meñ Thahrā hai ye dariyā kis tarah kā hai
ye merā jism hai āzād lekin ruuh qaidī hai
ḳhudāyā koī batlā.e ye piñjrā kis tarah kā hai
mirī aahoñ ko mere qahqahoñ ne Dhāñk rakkhā hai
mirī is laash ke uupar ye malba kis tarah kā hai
hai jin meñ bojh duniyā bhar kā maz.hab ke havāloñ se
mire bachchoñ ke kāñdhe par ye basta kis tarah kā hai
tumheñ mālūm bhī hai ki vo niyyat ko parakhtā hai
ye kis lālach meñ karte ho ye sajda kis tarah kā hai
maiñ ḳhud ko DhūñDne niklī thī kuchh bikhre varaq le kar
tire andar huuñ jā pahuñchī ye naqsha kis tarah kā hai
hameñ āvāz denā hai nabī ko jānib-e-mahshar
ḳhudā āvāz de jis ko vo banda kis tarah kā hai
mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai
meri aankhon mein Thahra hai ye dariya kis tarah ka hai
ye mera jism hai aazad lekin ruh qaidi hai
KHudaya koi batlae ye pinjra kis tarah ka hai
meri aahon ko mere qahqahon ne Dhank rakkha hai
meri is lash ke upar ye malba kis tarah ka hai
hai jin mein bojh duniya bhar ka mazhab ke hawalon se
mere bachchon ke kandhe par ye basta kis tarah ka hai
tumhein malum bhi hai ki wo niyyat ko parakhta hai
ye kis lalach mein karte ho ye sajda kis tarah ka hai
main KHud ko DhunDne nikli thi kuchh bikhre waraq le kar
tere andar hun ja pahunchi ye naqsha kis tarah ka hai
hamein aawaz dena hai nabi ko jaanib-e-mahshar
KHuda aawaz de jis ko wo banda kis tarah ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.