mere ham-nashin mere dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja
mere ham-nashin mere dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja
Afzal Peshawari
MORE BYAfzal Peshawari
mire ham-nashīñ mire dilrubā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
na ḳhayāl kar mirā bā-ḳhudā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
vo guzārisheñ vo navāzisheñ vo shikāyateñ vo ināyateñ
mire saath un ko bhī de bhulā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
vo sahe haiñ maiñ ne tire sitam jo qalam se ho na sakeñ raqam
mirā haal jo bhī huā huā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
mujhe ab kināre se kaam kyā mujhe bahr-e-ġham meñ hī chhoḌ de
ai mire safīne ke nāḳhudā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
tujhe vāsta mire haal kā mire ranj-o-ġham kā malāl kā
kisī aur pe tū kar ab jafā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
tirī ashk-bārī fuzūl hai tirī be-qarārī fuzūl hai
mire ġham-navā mire dil-rubā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
mirī chaah kā yūñhī naam hai tujhe ab raqīboñ se kaam hai
but-e-bevafā sitam-āshnā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
maiñ nahīñ huuñ qābil-e-ranj-o-ġham maiñ nahīñ huuñ lā.eq-e-ranj-o-ġham
hai shabāna roz ye iltijā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
na vafā kī ab haiñ zarūrateñ na karam kī ab mujhe ḳhvāhisheñ
mirī yaad se tujhe fā.eda mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
kabhī dil ko tujh se piyār thā vo zamāna ab to guzar gayā
na vo dil rahā na tū dilrubā mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
mere ham-nashin mere dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja
na KHayal kar mera ba-KHuda mujhe bhul ja mujhe bhul ja
wo guzarishen wo nawazishen wo shikayaten wo inayaten
mere sath un ko bhi de bhula mujhe bhul ja mujhe bhul ja
wo sahe hain main ne tere sitam jo qalam se ho na saken raqam
mera haal jo bhi hua hua mujhe bhul ja mujhe bhul ja
mujhe ab kinare se kaam kya mujhe bahr-e-gham mein hi chhoD de
ai mere safine ke naKHuda mujhe bhul ja mujhe bhul ja
tujhe wasta mere haal ka mere ranj-o-gham ka malal ka
kisi aur pe tu kar ab jafa mujhe bhul ja mujhe bhul ja
teri ashk-bari fuzul hai teri be-qarari fuzul hai
mere gham-nawa mere dil-ruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja
meri chah ka yunhi nam hai tujhe ab raqibon se kaam hai
but-e-bewafa sitam-ashna mujhe bhul ja mujhe bhul ja
main nahin hun qabil-e-ranj-o-gham main nahin hun laeq-e-ranj-o-gham
hai shabana roz ye iltija mujhe bhul ja mujhe bhul ja
na wafa ki ab hain zaruraten na karam ki ab mujhe KHwahishen
meri yaad se tujhe faeda mujhe bhul ja mujhe bhul ja
kabhi dil ko tujh se piyar tha wo zamana ab to guzar gaya
na wo dil raha na tu dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.