mere ham-nashin ye malal hai meri zindagi kahin kho gai
mire ham-nashīñ ye malāl hai mirī zindagī kahīñ kho ga.ī
mujhe Das liyā tire 'ishq ne mirī dilkashī kahīñ kho ga.ī
kisī ajnabī kā huā nahīñ mirā dil bhī khul ke khilā nahīñ
mirā rabt TuuTā jo yaar se mirī ḳhush-dilī kahīñ kho ga.ī
vo 'urūj thā to batā mujhe ye 'ajab sā kaisā zavāl hai
mirā haal ab to 'azāb hai mirī tāzgī kahīñ kho ga.ī
na hī ḳhvāb meñ koī ruup hai na hī soch meñ koī rang hai
tirā 'aks mujh se hai duur jo mirī bandagī kahīñ kho ga.ī
maiñ khaḌā huuñ kis ke makān meñ maiñ bujhā bujhā huuñ jahān meñ
mirā dil bhī lagtā hai ġhair kā mirī dil-lagī kahīñ kho ga.ī
vo jo mehrbāñ thā ḳhayāl kā mirī gahrī soch-o-bichār kā
usī mehrbāñ ke bichhaḌne par mirī puḳhtagī kahīñ kho ga.ī
mujhe maan thā ki jo zaḳhm haiñ ye sile raheñge sadā yūñhī
mire chaak silte hī phaT ga.e mirī 'umdagī kahīñ kho ga.ī
maiñ darīda hijr kā baasī huuñ jo machal rahā hai visāl ko
tirā lams nikhrā jo ḳhvāb meñ mirī ḳhastagī kahīñ kho ga.ī
tū kahāñ gayā mire ham-nashīñ mire naqsh mujh se haiñ ham-kalām
mujhe hai gumāñ tire 'ishq meñ vo shaguftagī kahīñ kho ga.ī
mere ham-nashin ye malal hai meri zindagi kahin kho gai
mujhe Das liya tere 'ishq ne meri dilkashi kahin kho gai
kisi ajnabi ka hua nahin mera dil bhi khul ke khila nahin
mera rabt TuTa jo yar se meri KHush-dili kahin kho gai
wo 'uruj tha to bata mujhe ye 'ajab sa kaisa zawal hai
mera haal ab to 'azab hai meri tazgi kahin kho gai
na hi KHwab mein koi rup hai na hi soch mein koi rang hai
tera 'aks mujh se hai dur jo meri bandagi kahin kho gai
main khaDa hun kis ke makan mein main bujha bujha hun jahan mein
mera dil bhi lagta hai ghair ka meri dil-lagi kahin kho gai
wo jo mehrban tha KHayal ka meri gahri soch-o-bichaar ka
usi mehrban ke bichhaDne par meri puKHtagi kahin kho gai
mujhe man tha ki jo zaKHm hain ye sile rahenge sada yunhi
mere chaak silte hi phaT gae meri 'umdagi kahin kho gai
main darida hijr ka basi hun jo machal raha hai visal ko
tera lams nikhra jo KHwab mein meri KHastagi kahin kho gai
tu kahan gaya mere ham-nashin mere naqsh mujh se hain ham-kalam
mujhe hai guman tere 'ishq mein wo shaguftagi kahin kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.