mere har lafz ki tauqir rahne ke liye hai
mire har lafz kī tauqīr rahne ke liye hai
maiñ vo zinda huuñ merī tahrīr rahne ke liye hai
sitam-gar ne jo pahnā.ī mire dast-e-talab meñ
ye mat samjho ki vo zanjīr rahne ke liye hai
mirā ā.īna-e-tasnīf detā hai gavāhī
mirā har nuqta-e-tafsīr rahne ke liye hai
rahegā to na terā zulm par roz-e-abad tak
hamāre dard kī jāgīr rahne ke liye hai
jise miir nigāhoñ ne kabhī dekhā nahīñ hai
mire dil meñ vahī tasvīr rahne ke liye hai
sar-e-bātil kiyā do-laḳht jis ne bhī jahāñ meñ
salāmat bas vahī shamshīr rahne ke liye hai
junūn-e-shauq taḳhrīb-e-jahāñ miT kar rahegā
magar har jazba-e-ta.amīr rahne ke liye hai
na likkhā she'r koī aur samajh baiThe haiñ nādāñ
adab meñ harba-e-tash.hīr rahne ke liye hai
guzar jā.eñge ham dār-e-fanā se 'baḳhsh' lekin
hamāre shahr kī tāsīr rahne ke liye hai
mere har lafz ki tauqir rahne ke liye hai
main wo zinda hun meri tahrir rahne ke liye hai
sitam-gar ne jo pahnai mere dast-e-talab mein
ye mat samjho ki wo zanjir rahne ke liye hai
mera aaina-e-tasnif deta hai gawahi
mera har nuqta-e-tafsir rahne ke liye hai
rahega to na tera zulm par roz-e-abad tak
hamare dard ki jagir rahne ke liye hai
jise mir nigahon ne kabhi dekha nahin hai
mere dil mein wahi taswir rahne ke liye hai
sar-e-baatil kiya do-laKHt jis ne bhi jahan mein
salamat bas wahi shamshir rahne ke liye hai
junun-e-shauq taKHrib-e-jahan miT kar rahega
magar har jazba-e-tamir rahne ke liye hai
na likkha she'r koi aur samajh baiThe hain nadan
adab mein harba-e-tashhir rahne ke liye hai
guzar jaenge hum dar-e-fana se 'baKHsh' lekin
hamare shahr ki tasir rahne ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.