mere harif ne maidan-e-jang chhoD diya
mire harīf ne maidān-e-jang chhoḌ diyā
zarā sī choT pe lohe ne zang chhoḌ diyā
guzishta saal kī garmī azaab jaisī thī
vo lū chalī ki makānoñ ne rang chhoḌ diyā
tamām jism pe niilī sī mauj dauḌ ga.ī
kisī ne jhiil sī āñkhoñ meñ sang chhoḌ diyā
falak ne mil ke ḳhalāoñ se sāzisheñ kar liiñ
phir is ke baad zamīnoñ kā sang chhoḌ diyā
kuchh is tarah se masā.il ne aa liyā ham ko
tujhe ġhazal meñ samone kā Dhang chhoḌ diyā
mere harif ne maidan-e-jang chhoD diya
zara si choT pe lohe ne zang chhoD diya
guzishta sal ki garmi azab jaisi thi
wo lu chali ki makanon ne rang chhoD diya
tamam jism pe nili si mauj dauD gai
kisi ne jhil si aankhon mein sang chhoD diya
falak ne mil ke KHalaon se sazishen kar lin
phir is ke baad zaminon ka sang chhoD diya
kuchh is tarah se masail ne aa liya hum ko
tujhe ghazal mein samone ka Dhang chhoD diya
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 68)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.