Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hi dil se tu puchh kitni teri adaon mein zindagi hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

mere hi dil se tu puchh kitni teri adaon mein zindagi hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    mire dil se pūchh kitnī tirī adāoñ meñ zindagī hai

    tirā sitam bhī karam hai mujh par tirī jafāoñ meñ zindagī hai

    jo tere javoñ se hai farozāñ jo terī nik.hat se jhūmtī hai

    jo tere naġhmoñ se guuñj uTThe unhīñ fazāoñ meñ zindagī hai

    inhīñ se rañgīñ hai bazm-e-hastī inhīñ se nikhar hai husn-e-duniyā

    jo chāheñ samjheñ jahān vaale mirī ḳhatāoñ meñ zindagī hai

    ḳhushī meñ sar dhunñe vaalo sun lo ki kitnā shīrīñ hai naġhma-e-ġham

    jo TuuTe dil se sadā.eñ uTThī unhīñ sadāoñ meñ zindagī hai

    rachī hai sargoshiyāñ jin meñ hamāre rāz-o-niyāz

    jo husn-o-ulfat se basī hai unhīñ havāoñ meñ zindagī hai

    ġhurūr kitnā bhī tum ko apne ho zehn-o-bāzū quvvatoñ par

    zarā to be-kas diloñ se pūchho ki kyā duāoñ meñ zindagī hai

    tirī hasīñ ho saaz bajtā ki ābshāroñ ho tarannum

    ho raqs-e-gul navā-e-bulbul inhīñ navāoñ meñ zindagī hai

    jo be-niyāz-e-zar-e-zamīñ hai jo dil daulat se ġhanī hai

    'habīb' in ko samajh na kamtar inhīñ adāoñ meñ zindagī hai

    mere hi dil se tu puchh kitni teri adaon mein zindagi hai

    tera sitam bhi karam hai mujh par teri jafaon mein zindagi hai

    jo tere jawon se hai farozan jo teri nikhat se jhumti hai

    jo tere naghmon se gunj uTThe unhin fazaon mein zindagi hai

    inhin se rangin hai bazm-e-hasti inhin se nikhar hai husn-e-duniya

    jo chahen samjhen jahan wale meri KHataon mein zindagi hai

    KHushi mein sar dhunne walo sun lo ki kitna shirin hai naghma-e-gham

    jo TuTe dil se sadaen uTThi unhin sadaon mein zindagi hai

    rachi hai sargoshiyan si jin mein hamare raaz-o-niyaz ki hi

    jo husn-o-ulfat se hi basi hai unhin hawaon mein zindagi hai

    ghurur kitna bhi tum ko apne ho zehn-o-bazu ki quwwaton par

    zara to be-kas dilon se puchho ki kya duaon mein zindagi hai

    teri hasin ka ho saz bajta ki aabshaaron ka ho tarannum

    ho raqs-e-gul ya nawa-e-bulbul inhin nawaon mein zindagi hai

    jo be-niyaz-e-zar-e-zamin hai jo dil ki daulat se hi ghani hai

    'habib' in ko samajh na kamtar inhin adaon mein zindagi hai

    Source :
    • Book : نغمۂ زندگی (Pg. 28)
    • Author : جے کرشن چودھری حبیب
    • Publication : جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now