mere hi lafz mujhe munh chiDha gae ab ke
mire hī lafz mujhe muñh chiḌhā ga.e ab ke
kuchh aise moḌ kahānī meñ aa ga.e ab ke
vo kis kī āñkhoñ meñ Thahre the shab ke saudāgar
jo mujh ko ḳhvāboñ meñ sūraj dikhā ga.e ab ke
jinhoñ ne raah dikhā.ī thī rāhgīroñ ko
vahī charāġh salīboñ pe aa ga.e ab ke
rakhī thī ham ne jin āñkhoñ meñ ḳhvāb kī buniyād
unhīñ ko ashkoñ ke sailāb Dhā ga.e ab ke
falak kī Dor ulajhne lagī jo zulfoñ se
to kahkashāñ pe use bhī sajā ga.e ab ke
‘amāma vaale zalīloñ meñ jab nahīñ pahuñche
zalīl log imāmoñ meñ aa ga.e ab ke
khaḌe haiñ bhīge hue lā’natoñ kī bārish meñ
jo terī haañ meñ yahāñ haañ milā ga.e ab ke
mere hi lafz mujhe munh chiDha gae ab ke
kuchh aise moD kahani mein aa gae ab ke
wo kis ki aankhon mein Thahre the shab ke saudagar
jo mujh ko KHwabon mein suraj dikha gae ab ke
jinhon ne rah dikhai thi rahgiron ko
wahi charagh salibon pe aa gae ab ke
rakhi thi hum ne jin aankhon mein KHwab ki buniyaad
unhin ko ashkon ke sailab Dha gae ab ke
falak ki Dor ulajhne lagi jo zulfon se
to kahkashan pe use bhi saja gae ab ke
‘amama wale zalilon mein jab nahin pahunche
zalil log imamon mein aa gae ab ke
khaDe hain bhige hue la’naton ki barish mein
jo teri han mein yahan han mila gae ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.