mere hisse ka har phal kyon sada kaDwa nikalta hai
mire hisse kā har phal kyoñ sadā kaḌvā nikaltā hai
bharosa jis pe kartā huuñ vahī jhūTā nikaltā hai
mirī qismat meñ likkhī hī nahīñ shāyad kabhī ḳhushiyāñ
kuaañ khodūñ jahāñ paanī vahīñ khārā nikaltā hai
yūñhī ban kar nahīñ ubhrā huuñ maiñ hiirā zamāne meñ
ki har patthar kā mere sar se ik rishta nikaltā hai
maiñ is ummīd par is baar tere paas aaya huuñ
atā hogā jo tere husn kā sadqa nikaltā hai
har ik shab chāñd to tāroñ ko le kar saath aatā hai
magar sūraj to bechāra sadā tanhā nikaltā hai
kabhī fursat mile to dekh lo tanhā.ī meñ aa kar
tumhārī yaad meñ āñkhoñ se jo dariyā nikaltā hai
koī muflis kare bachche kī ḳhvāhish kis tarah puurī
khilaunā jo pasand aatā hai vo mahñgā nikaltā hai
sabhī taare falak par itne ḳhush-qismat nahīñ hote
sivā ik chāñd ke nazdīk jo taarā nikaltā hai
nahīñ bujhtī hai shāyad pyaas ab logoñ kī paanī se
jise dekho hamāre ḳhuun kā pyāsā nikaltā hai
yaqīñ kis par kareñ apnā kaheñ kis ko yahāñ 'tāriq'
ki ab har shaḳhs ke chehre pe ik chehra nikaltā hai
mere hisse ka har phal kyon sada kaDwa nikalta hai
bharosa jis pe karta hun wahi jhuTa nikalta hai
meri qismat mein likkhi hi nahin shayad kabhi KHushiyan
kuan khodun jahan pani wahin khaara nikalta hai
yunhi ban kar nahin ubhra hun main hira zamane mein
ki har patthar ka mere sar se ek rishta nikalta hai
main is ummid par is bar tere pas aaya hun
ata hoga jo tere husn ka sadqa nikalta hai
har ek shab chand to taron ko le kar sath aata hai
magar suraj to bechaara sada tanha nikalta hai
kabhi fursat mile to dekh lo tanhai mein aa kar
tumhaari yaad mein aankhon se jo dariya nikalta hai
koi muflis kare bachche ki KHwahish kis tarah puri
khilauna jo pasand aata hai wo mahnga nikalta hai
sabhi tare falak par itne KHush-qismat nahin hote
siwa ek chand ke nazdik jo tara nikalta hai
nahin bujhti hai shayad pyas ab logon ki pani se
jise dekho hamare KHun ka pyasa nikalta hai
yaqin kis par karen apna kahen kis ko yahan 'tariq'
ki ab har shaKHs ke chehre pe ek chehra nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.