mere izhaar ne ghaibi suKHan ko oDh rakha hai
mire iz.hār ne ġhaibī suḳhan ko oḌh rakhā hai
yaqīñ ne bhī gumāñ kī ik kiran ko oḌh rakhā hai
koī samjhauta bhī mumkin hai kyā tark-e-mohabbat meñ
isī ik soch ne jaise ghuTan ko oḌh rakhā hai
palaT aa.e to haiñ ham sulh kī shartoñ ko Thukrā kar
magar pairoñ ne sadiyoñ kī thakan ko oḌh rakhā hai
jabīnoñ par nishāñ sajdoñ ke haiñ hāthoñ meñ shamshīreñ
aqīde ne tashaddud ke badan ko oḌh rakhā hai
ragoñ meñ dauḌtī phirtīñ haiñ sūiyāñ zahr meñ Duubī
ki dil ne ḳhuun meñ bahtī chubhan ko oḌh rakhā hai
chhupā letā hai saare zaḳhm dīda-zeb-o-dil-kash hai
'sadaf' kī ruuh ne aise badan ko oḌh rakhā hai
mere izhaar ne ghaibi suKHan ko oDh rakha hai
yaqin ne bhi guman ki ek kiran ko oDh rakha hai
koi samjhauta bhi mumkin hai kya tark-e-mohabbat mein
isi ek soch ne jaise ghuTan ko oDh rakha hai
palaT aae to hain hum sulh ki sharton ko Thukra kar
magar pairon ne sadiyon ki thakan ko oDh rakha hai
jabinon par nishan sajdon ke hain hathon mein shamshiren
aqide ne tashaddud ke badan ko oDh rakha hai
ragon mein dauDti phirtin hain suiyan zahr mein Dubi
ki dil ne KHun mein bahti chubhan ko oDh rakha hai
chhupa leta hai sare zaKHm dida-zeb-o-dil-kash hai
'sadaf' ki ruh ne aise badan ko oDh rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.