mere jaisi tumhein milni nahin hai
mire jaisī tumheñ milnī nahīñ hai
magar koī zabardastī nahīñ hai
ye dil hai aap kā office nahīñ jī
yahāñ par aap kī chaltī nahīñ hai
maiñ jachtī huuñ use har zāviye se
vo merā hai to bas yūñhī nahīñ hai
vo ḳhushbū muḳhtalif hai ḳhushbuoñ se
vo sab meñ rah ke sab jaisī nahīñ hai
havā.ī firing meñ zaa.e.a kar deñ
zarūrat hai to ik golī nahīñ hai
tire ḳhvāboñ meñ aane vaalī laḌkī
kisī kī bātoñ meñ aatī nahīñ hai
koī pūchhe mirā to us se kahnā
sarāsar pyaar hai pyārī nahīñ hai
jise thī aarzū phir jī uThūñ maiñ
use ab mujh meñ dilchaspī nahīñ hai
nahīñ rotī tumhārā naam le kar
vo laḌkī ab vahī laḌkī nahīñ hai
mere jaisi tumhein milni nahin hai
magar koi zabardasti nahin hai
ye dil hai aap ka office nahin ji
yahan par aap ki chalti nahin hai
main jachti hun use har zawiye se
wo mera hai to bas yunhi nahin hai
wo KHushbu muKHtalif hai KHushbuon se
wo sab mein rah ke sab jaisi nahin hai
hawai firing mein zaea kar den
zarurat hai to ek goli nahin hai
tere KHwabon mein aane wali laDki
kisi ki baaton mein aati nahin hai
koi puchhe mera to us se kahna
sarasar pyar hai pyari nahin hai
jise thi aarzu phir ji uThun main
use ab mujh mein dilchaspi nahin hai
nahin roti tumhaara nam le kar
wo laDki ab wahi laDki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.