mere jazbaat se ye raat pighal jaegi
mire jazbāt se ye raat pighal jā.egī
jism to jism tirī ruuh bhī jal jā.egī
aaj to husn bhī maa.il hai masīhā.ī par
aaj se ishq kī tārīḳh badal jā.egī
zindagī ret kī mānind mire haath meñ hai
dekhte dekhte hāthoñ se phisal jā.egī
log kahte haiñ hameñ rasm-e-vafā yaad nahīñ
chhoḌiye baat kahīñ duur nikal jā.egī
vahshat-e-ishq kī āñdhī se nahīñ ḳhauf mujhe
ye vo āñdhī hai jo ash.ār meñ Dhal jā.egī
be-qarārī hai to phir kūcha-e-jānāñ meñ chalo
un ke dekhe se tabī.at bhī sañbhal jā.egī
kaun kartā hai raqam apne junūñ kā qissa
kaun kahtā hai ḳhirad is se bahal jā.egī
ġhuncha-e-dard ko āñkhoñ meñ numū dī hai 'shakīl'
ye kalī ashk bahāne se masal jā.egī
mere jazbaat se ye raat pighal jaegi
jism to jism teri ruh bhi jal jaegi
aaj to husn bhi mail hai masihai par
aaj se ishq ki tariKH badal jaegi
zindagi ret ki manind mere hath mein hai
dekhte dekhte hathon se phisal jaegi
log kahte hain hamein rasm-e-wafa yaad nahin
chhoDiye baat kahin dur nikal jaegi
wahshat-e-ishq ki aandhi se nahin KHauf mujhe
ye wo aandhi hai jo ashaar mein Dhal jaegi
be-qarari hai to phir kucha-e-jaanan mein chalo
un ke dekhe se tabiat bhi sanbhal jaegi
kaun karta hai raqam apne junun ka qissa
kaun kahta hai KHirad is se bahal jaegi
ghuncha-e-dard ko aankhon mein numu di hai 'shakil'
ye kali ashk bahane se masal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.