mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh
mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
mire jigar kī taab dekh ruḳh kī shikastagī na dekh
fitrat-e-āshiqī samajh qismat-e-āshiqī na dekh
aur nazar vasī' kar pesh-e-nigāh hī na dekh
maut meñ DhūñD zindagī ziist meñ nīstī na dekh
jaise har ik nafas nafas nok-e-sināñ liye hue
'ishq kā ḳhvāb dekh le 'ishq kī zindagī na dekh
maiñ to sarā-e-shauq meñ dil kā kañval jalā chukā
ab ye tirī ḳhushī ki tū dekh ki raushnī na dekh
ek usuul yaad rakh sālik-e-rāh-e-zindagī
naqsh-o-nigār-e-dahr dekh muḌ ke magar kabhī na dekh
apnī nigāh pher le haañ ye mujhe qubūl hai
rakh mirī aarzū kī sharm-e-shauq kī bebasī na dekh
tujh pe 'ayāñ hai rāz-e-dil jaan ke bin na be-ḳhabar
ma.anī-e-ḳhāmushī samajh sūrat-e-ḳhāmushī na dekh
'mullā' ye kyā lagā liyā dil ko hañsī hañsī meñ rog
baat batā rahe the jo ho ke rahī vahī na dekh
mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh
fitrat-e-ashiqi samajh qismat-e-ashiqi na dekh
aur nazar wasi' kar pesh-e-nigah hi na dekh
maut mein DhunD zindagi zist mein nisti na dekh
jaise har ek nafas nafas nok-e-sinan liye hue
'ishq ka KHwab dekh le 'ishq ki zindagi na dekh
main to sara-e-shauq mein dil ka kanwal jala chuka
ab ye teri KHushi ki tu dekh ki raushni na dekh
ek usul yaad rakh salik-e-rah-e-zindagi
naqsh-o-nigar-e-dahr dekh muD ke magar kabhi na dekh
apni nigah pher le han ye mujhe qubul hai
rakh meri aarzu ki sharm-e-shauq ki bebasi na dekh
tujh pe 'ayan hai raaz-e-dil jaan ke bin na be-KHabar
mani-e-KHamushi samajh surat-e-KHamushi na dekh
'mulla' ye kya laga liya dil ko hansi hansi mein rog
baat bata rahe the jo ho ke rahi wahi na dekh
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 140)
- Author : Anand Narayan Mulla
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.