mere junun ko hai tujhse sabaat phir milna
mire junūñ ko hai tujh se sabāt phir milnā
mirī nazar kī hasīñ kā.enāt phir milnā
kabhī jo din ke ujāle meñ aa na paa.e agar
to shauq-e-dīd meñ jāgegī raat phir milnā
bas ek tū hī bahāna huā hai jiine kā
vagarna dard hai saarī hayāt phir milnā
hazār rang haiñ tere ki mujh se lipTe haiñ
jilau meñ le ke dhanak kī barāt phir milnā
sunī huī hai tirī aañkh kī zabāñ maiñ ne
tujhe sunā sakūñ is dil kī baat phir milnā
chaTaḳh chaTaḳh ke mire hoñT de rahe haiñ sadā
phir aanā lauT ke jū-e-furāt phir milnā
mere junun ko hai tujh se sabaat phir milna
meri nazar ki hasin kaenat phir milna
kabhi jo din ke ujale mein aa na pae agar
to shauq-e-did mein jagegi raat phir milna
bas ek tu hi bahana hua hai jine ka
wagarna dard hai sari hayat phir milna
hazar rang hain tere ki mujh se lipTe hain
jilau mein le ke dhanak ki baraat phir milna
suni hui hai teri aankh ki zaban main ne
tujhe suna sakun is dil ki baat phir milna
chaTaKH chaTaKH ke mere honT de rahe hain sada
phir aana lauT ke ju-e-furaat phir milna
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 484)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.