mere KHayal ko kitne sawal deta hai
mire ḳhayāl ko kitne savāl detā hai
vo ek bachcha jo sūraj uchhāl detā hai
safed dhuup jab us kā badan nahīñ suntā
vo apnī aañkh samundar meñ Daal detā hai
tilism-kār kaheñ yā kaheñ faqīr us ko
hatheliyoñ se jo manzar nikāl detā hai
na jaane kaun sā manzar use Darātā hai
vo baat baat pe sikka uchhāl detā hai
samundaroñ ke safar se vo kyā palaT aayā
har ek baat pe apnī misāl detā hai
mere KHayal ko kitne sawal deta hai
wo ek bachcha jo suraj uchhaal deta hai
safed dhup jab us ka badan nahin sunta
wo apni aankh samundar mein Dal deta hai
tilism-kar kahen ya kahen faqir us ko
hatheliyon se jo manzar nikal deta hai
na jaane kaun sa manzar use Daraata hai
wo baat baat pe sikka uchhaal deta hai
samundaron ke safar se wo kya palaT aaya
har ek baat pe apni misal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.