mere KHilaf zaban apni kholne wale
mire ḳhilāf zabāñ apnī kholne vaale
ajiib log haiñ rāzoñ ko DhūñDne vaale
shikam meñ buġhz rakheñ aur aañkh kā roza
samā.atoñ meñ sabhī shahd gholne vaale
tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai azāb-e-qaum-e-sho.aib
aqīdatoñ ko tarāzū meñ tolne vaale
Darā diyā hai jo sāñpoñ kā vasvasa de kar
makīñ nahīñ the ḳhazīne ko lūTne vaale
tire qadam se maiñ pahle qadam nahīñ rakhtā
mire aziiz nishāñ merā khojne vaale
vo shāhzādī isī vāste sañbhaltī rahī
ki biich raah meñ paañv the Dolne vaale
mere KHilaf zaban apni kholne wale
ajib log hain raazon ko DhunDne wale
shikam mein bughz rakhen aur aankh ka roza
samaaton mein sabhi shahd gholne wale
tumhein KHabar hi nahin hai azab-e-qaum-e-shoaib
aqidaton ko taraazu mein tolne wale
Dara diya hai jo sanpon ka waswasa de kar
makin nahin the KHazine ko luTne wale
tere qadam se main pahle qadam nahin rakhta
mere aziz nishan mera khojne wale
wo shahzadi isi waste sanbhalti rahi
ki bich rah mein panw the Dolne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.