mere KHuda ye meri zat par karam kar de
mere KHuda ye meri zat par karam kar de
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
MORE BYMakhdoom Zada Mukhtar Usmani
mire ḳhudā ye mirī zaat par karam kar de
dayār-e-zīst meñ ab be-niyāz-e-ġham kar de
kisī bhī dil meñ na hoñ bad-gumāniyāñ paidā
ta'alluqāt ko is darja mohtaram kar de
milī hayāt hameñ aisā hādisa ban kar
vo hādisa jo pahāḌoñ kī aañkh nam kar de
hisār-e-tīra-shabī se nikāl de manzil
charāġh-e-shauq farozāñ qadam qadam kar de
sitam-parast bahut hai mizāj-e-ahl-e-nazar
husūl-e-fan bhī kare haath bhī qalam kar de
du'ā-e-ḳhair hī lab par rahe sadā 'muḳhtār'
vo jo bhī chāhe ba-yak-jumbish-e-qalam kar de
mere KHuda ye meri zat par karam kar de
dayar-e-zist mein ab be-niyaz-e-gham kar de
kisi bhi dil mein na hon bad-gumaniyan paida
ta'alluqat ko is darja mohtaram kar de
mili hayat hamein aisa hadisa ban kar
wo hadisa jo pahaDon ki aankh nam kar de
hisar-e-tira-shabi se nikal de manzil
charagh-e-shauq farozan qadam qadam kar de
sitam-parast bahut hai mizaj-e-ahl-e-nazar
husul-e-fan bhi kare hath bhi qalam kar de
du'a-e-KHair hi lab par rahe sada 'muKHtar'
wo jo bhi chahe ba-yak-jumbish-e-qalam kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.