mere KHulus ne pighla diya hai patthar ko
mire ḳhulūs ne pighlā diyā hai patthar ko
ki ab vo haath lagātā nahīñ hai ḳhanjar ko
baḌā hī naam kamāyā bahut milī shohrat
hamāre sar ke jhukāne se aap ke dar ko
bas ek ruuh kī taḳhlīq ke sivā yaaro
ḳhudā ne saarā hunar de diyā thā aazar ko
baḌe hī shauq se un sab ne nosh farmāyā
milā jo jām-e-shahādat sabhī bahattar ko
isī 'amal meñ guzartī rahī hayāt apnī
chhupāyā paañv ko apne kabhī kabhī sar ko
tire ḳhazāne meñ yārab koī kamī hogī
mile jo is meñ se kuchh bhī ‘mu’īn-kausar' ko
mere KHulus ne pighla diya hai patthar ko
ki ab wo hath lagata nahin hai KHanjar ko
baDa hi nam kamaya bahut mili shohrat
hamare sar ke jhukane se aap ke dar ko
bas ek ruh ki taKHliq ke siwa yaro
KHuda ne sara hunar de diya tha aazar ko
baDe hi shauq se un sab ne nosh farmaya
mila jo jam-e-shahadat sabhi bahattar ko
isi 'amal mein guzarti rahi hayat apni
chhupaya panw ko apne kabhi kabhi sar ko
tere KHazane mein yarab koi kami hogi
mile jo is mein se kuchh bhi ‘mu’in-kausar' ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.