mere KHwabon KHayalon ko nai parwaz dete hain
mire ḳhvāboñ ḳhayāloñ ko na.ī parvāz dete haiñ
maiñ chal paḌtā huuñ jab vo rāste āvāz dete haiñ
'umūman zindagī kī be-surī be-dhun kahānī ko
safar ke vāqa'e be-shak surīlā saaz dete haiñ
vo mushkil tang raste le ke jaate haiñ khule-pan tak
vo barfīle sikhar jiine kā jaise raaz dete haiñ
jahāñ lagtā hai sab kuchh ḳhatm hai in band rāhoñ par
nayā sā moḌ dete haiñ nayā āġhāz dete haiñ
nikal jaate haiñ jo sab chhoḌ kar pīchhe vahī raahī
nayā ik vaqt dete haiñ na.ī parvāz dete haiñ
mere KHwabon KHayalon ko nai parwaz dete hain
main chal paDta hun jab wo raste aawaz dete hain
'umuman zindagi ki be-suri be-dhun kahani ko
safar ke waqa'e be-shak surila saz dete hain
wo mushkil tang raste le ke jate hain khule-pan tak
wo barfile sikhar jine ka jaise raaz dete hain
jahan lagta hai sab kuchh KHatm hai in band rahon par
naya sa moD dete hain naya aaghaz dete hain
nikal jate hain jo sab chhoD kar pichhe wahi rahi
naya ek waqt dete hain nai parwaz dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.