mere kirdar ke raushan hawale aap rakh lije
mere kirdar ke raushan hawale aap rakh lije
Muhammad Rashid Athar
MORE BYMuhammad Rashid Athar
mire kirdār ke raushan havāle aap rakh liije
mujhe de kar ḳhushī mere ye naale aap rakh liije
mire ashkoñ se tar ye chand aurāq-e-tamanna haiñ
ye mujh se to nahīñ jaate sambhāle aap rakh liije
agar majnūñ hameñ rahnā hai to lailā bhī koī ho
masāfat ham rakheñ paañv ke chhāle aap rakh liije
hamāre naam se hī faal kā āġhāz kījegā
parinda jo bhī phir qur.a nikāle aap rakh lījiye
hameñ jal jaane hī diije ki ham jal kar hī raushan haiñ
añdhere ham sameTeñge ujāle aap rakh liije
ye duniyā kī chamak ye dard-e-dil ye be-ḳhudī merī
na jaane kab mujhe apnā banā le aap rakh lījiye
mujhe sach kahne diije merī fitrat kā taqāzā hai
zabāñ par mohr aur hoñToñ pe taale aap rakh liije
mere kirdar ke raushan hawale aap rakh lije
mujhe de kar KHushi mere ye nale aap rakh lije
mere ashkon se tar ye chand auraq-e-tamanna hain
ye mujh se to nahin jate sambhaale aap rakh lije
agar majnun hamein rahna hai to laila bhi koi ho
masafat hum rakhen panw ke chhaale aap rakh lije
hamare nam se hi fal ka aaghaz kijega
parinda jo bhi phir qura nikale aap rakh lijiye
hamein jal jaane hi dije ki hum jal kar hi raushan hain
andhere hum sameTenge ujale aap rakh lije
ye duniya ki chamak ye dard-e-dil ye be-KHudi meri
na jaane kab mujhe apna bana le aap rakh lijiye
mujhe sach kahne dije meri fitrat ka taqaza hai
zaban par mohr aur honTon pe tale aap rakh lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.