mere madd-e-muqabil tir KHanjar aur bhaale hain
mire madd-e-muqābil tiir ḳhanjar aur bhāle haiñ
magar aise ka.ī bhāle mire dil ne sambhāle haiñ
muqayyad dā.era-dar-dā.era hai zindagī merī
mire har chāñd ke chāroñ taraf tārīk haale haiñ
kaTe kī zindagī kaise musalsal jabr meñ rah kar
safar sahrā kā hai aur paañv meñ chhāle hī chhāle haiñ
bhulā saktā huuñ kaise vaar jo siine pe khaa.e haiñ
ki us ke zaḳhm bhī aulād kī mānind paale haiñ
haqīqat to ye hai har ahd ke kirdār yaksāñ haiñ
vahī suqrāt hai aur zahr se labrez pyāle haiñ
mire ghar meñ hai kyā rakkhā tirī ḳhidmat-guzārī ko
ki mere paas to mehmān-e-jāñ ġham ke nivāle haiñ
baḌhūñ aage ki pīchhe lauT jā.ūñ ai 'suhail'-amjad
mire pīchhe haiñ gahrī khā.iyāñ aage himāle haiñ
mere madd-e-muqabil tir KHanjar aur bhaale hain
magar aise kai bhaale mere dil ne sambhaale hain
muqayyad daera-dar-daera hai zindagi meri
mere har chand ke chaaron taraf tarik haale hain
kaTe ki zindagi kaise musalsal jabr mein rah kar
safar sahra ka hai aur panw mein chhaale hi chhaale hain
bhula sakta hun kaise war jo sine pe khae hain
ki us ke zaKHm bhi aulad ki manind pale hain
haqiqat to ye hai har ahd ke kirdar yaksan hain
wahi suqraat hai aur zahr se labrez pyale hain
mere ghar mein hai kya rakkha teri KHidmat-guzari ko
ki mere pas to mehman-e-jaan gham ke niwale hain
baDhun aage ki pichhe lauT jaun ai 'suhail'-amjad
mere pichhe hain gahri khaiyan aage himale hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 330)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.