Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere nalon ka hota hai KHuda jaane asar kab tak

Syed Manzar Hasan Desnavi

mere nalon ka hota hai KHuda jaane asar kab tak

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    mire nāloñ hotā hai ḳhudā jaane asar kab tak

    mirī duniyā rahegī is tarah zer-o-zabar kab tak

    safar maslak mirā mujh ko koī itnā to samjhā.e

    ki is kūche meñ hogī zindagī merī basar kab tak

    jihād-e-zindagī meñ saḳht-koshī shart-e-avval hai

    ye soz-e-ishq taake lazzat-e-dāġh-e-jigar kab tak

    vahī majnūñ vahī lailā vahī vāmiq vahī azrā

    maiñ dohrātā rahūñ qisse ba-andāz-e-digar kab tak

    jo rif.at tamanna ho to jazb-o-shauq paidā kar

    rahegā is chaman meñ rahīn-e-bāl-o-par kab tak

    gayā daur-e-javānī ab to 'manzar' hosh meñ aao

    ḳhumār-e-shab kahāñ tak lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar kab tak

    mere nalon ka hota hai KHuda jaane asar kab tak

    meri duniya rahegi is tarah zer-o-zabar kab tak

    safar maslak mera mujh ko koi itna to samjhae

    ki is kuche mein hogi zindagi meri basar kab tak

    jihad-e-zindagi mein saKHt-koshi shart-e-awwal hai

    ye soz-e-ishq take lazzat-e-dagh-e-jigar kab tak

    wahi majnun wahi laila wahi wamiq wahi azra

    main dohraata rahun qisse ba-andaz-e-digar kab tak

    jo rifat ki tamanna ho to jazb-o-shauq paida kar

    rahega is chaman mein tu rahin-e-baal-o-par kab tak

    gaya daur-e-jawani ab to 'manzar' hosh mein aao

    KHumar-e-shab kahan tak lazzat-e-KHwab-e-sahar kab tak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now