mere nalon se jalte hain meri aahon se jalte hain
mire nāloñ se jalte haiñ mirī aahoñ se jalte haiñ
mire dil ke nihāñ-ḳhāne mire hāthoñ se jalte haiñ
haqīqat meñ masarrat kī bahāreñ jin ko hāsil haiñ
vahī aksar mire jhaḌte hue ḳhvāboñ se jalte haiñ
mirā un se lipaT jaanā vo ik lahza tasavvur thā
harīf-e-dil usī dam se mirī bāñhoñ se jalte haiñ
shab-e-ġham se mirī ruktī ukhaḌtī saañs chaltī hai
mire sab maut ke pyāse mirī rātoñ se jalte haiñ
vo āḳhir kesarī malbūs meñ uryāñ nikal aa.e
vo khul ke ab hamāre za.afarāñ-zāroñ se jalte haiñ
vo ḳhushbū naam jab se kar liyā vird-e-zabāñ maiñ ne
tabhī se itr ke tājir mirī sāñsoñ se jalte haiñ
mere nalon se jalte hain meri aahon se jalte hain
mere dil ke nihan-KHane mere hathon se jalte hain
haqiqat mein masarrat ki bahaaren jin ko hasil hain
wahi aksar mere jhaDte hue KHwabon se jalte hain
mera un se lipaT jaana wo ek lahza tasawwur tha
harif-e-dil usi dam se meri banhon se jalte hain
shab-e-gham se meri rukti ukhaDti sans chalti hai
mere sab maut ke pyase meri raaton se jalte hain
wo aaKHir kesari malbus mein uryan nikal aae
wo khul ke ab hamare zafaran-zaron se jalte hain
wo KHushbu nam jab se kar liya wird-e-zaban main ne
tabhi se itr ke tajir meri sanson se jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.