mere qadmon mein duniya ke KHazane hain uTha lun kya
mire qadmoñ meñ duniyā ke ḳhazāne haiñ uThā luuñ kyā
zamāna gir chukā jitnā maiñ ḳhud ko bhī girā luuñ kyā
tirā chehra banāne kī jasārat kar rahā huuñ maiñ
lahū āñkhoñ se utrā hai to rañgoñ meñ milā luuñ kyā
sunā hai aaj bastī se musāfir ban ke guzroge
agar niklo idhar se to maiñ apnā ghar sajā luuñ kyā
bharā ho dil hasad se to nazar kuchh bhī nahīñ aatā
maiñ nafrat meñ adāvat meñ mohabbat ko milā luuñ kyā
kī barsoñ se to gin gin kar maiñ in ko ḳharch kartā huuñ
abhī bhī chand sāñseñ haiñ tirī ḳhātir bachā luuñ kyā
mere qadmon mein duniya ke KHazane hain uTha lun kya
zamana gir chuka jitna main KHud ko bhi gira lun kya
tera chehra banane ki jasarat kar raha hun main
lahu aankhon se utra hai to rangon mein mila lun kya
suna hai aaj basti se musafir ban ke guzroge
agar niklo idhar se to main apna ghar saja lun kya
bhara ho dil hasad se to nazar kuchh bhi nahin aata
main nafrat mein adawat mein mohabbat ko mila lun kya
ki barson se to gin gin kar main in ko KHarch karta hun
abhi bhi chand sansen hain teri KHatir bacha lun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.