mere qalam mein the zinda mere bayan mein the
mire qalam meñ the zinda mire bayān meñ the
vo harf harf mire dil kī dāstān meñ the
unheñ nigal ga.ī gumnāmiyoñ kī tārīkī
zamīñ ke log jo shohrat ke āsmān meñ the
hamārī naav ko tūfān se bachā laa.e
tumhārī yaad ke jhoñke jo bādbān meñ the
unheñ bhī dard kī fōtpath par paḌe paayā
jo ranj-o-ġham se pare pur-sukūñ makān meñ the
kabhī na shikva kiyā ham ne kam-nasībī kā
sitāre apne muqaddar ke āsmān meñ the
koī javāb nahīñ jin kā is samāj ke paas
savāl aise bhī bachchoñ ke imtihān meñ the
rakhe the mere liye vaqt ne jo tarkash meñ
vo saare tiir sitamgar tirī kamān meñ the
jahāñ pe rūh-e-muqaddas kī jalva-gāheñ haiñ
hamārī fikr ke panchhī vahāñ uḌaan meñ the
tamām umr kaḌī dhuup chhū nahīñ paa.ī
ki ham kisī kī mohabbat ke sā.ebān meñ the
kabhī na shauq-e-safar kam huā mirā ai 'shauq'
na.e safar ke irāde mirī thakān meñ the
mere qalam mein the zinda mere bayan mein the
wo harf harf mere dil ki dastan mein the
unhen nigal gai gumnamiyon ki tariki
zamin ke log jo shohrat ke aasman mein the
hamari naw ko tufan se bacha lae
tumhaari yaad ke jhonke jo baadban mein the
unhen bhi dard ki footpath par paDe paya
jo ranj-o-gham se pare pur-sukun makan mein the
kabhi na shikwa kiya hum ne kam-nasibi ka
sitare apne muqaddar ke aasman mein the
koi jawab nahin jin ka is samaj ke pas
sawal aise bhi bachchon ke imtihan mein the
rakhe the mere liye waqt ne jo tarkash mein
wo sare tir sitamgar teri kaman mein the
jahan pe ruh-e-muqaddas ki jalwa-gahen hain
hamari fikr ke panchhi wahan uDan mein the
tamam umr kaDi dhup chhu nahin pai
ki hum kisi ki mohabbat ke saeban mein the
kabhi na shauq-e-safar kam hua mera ai 'shauq'
nae safar ke irade meri thakan mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.