mere qarib na aao bahut andhera hai
mire qarīb na aao bahut añdherā hai
haTo pare ajī jaao bahut añdherā hai
ye merā munnā jo jaagā to chiiz māñgegā
abhī na us ko jagāo bahut añdherā hai
hai pichhlī raat numūd-e-sahar to hone do
abhī to ghar se na jaao bahut añdherā hai
hai kaalī raat bhī aur rāsta bhī nā-hamvār
qadam sambhal ke uThāo bahut añdherā hai
ye ulTī sīdhī uḌāne se fā.eda kyā hai
suḳhan kī sham.a jalāo bahut añdherā hai
vo aa.e mere tasavvur meñ bole yuuñ 'sajnī'
mujhe na paas bulāo bahut añdherā hai
mere qarib na aao bahut andhera hai
haTo pare aji jao bahut andhera hai
ye mera munna jo jaga to chiz mangega
abhi na us ko jagao bahut andhera hai
hai pichhli raat numud-e-sahar to hone do
abhi to ghar se na jao bahut andhera hai
hai kali raat bhi aur rasta bhi na-hamwar
qadam sambhal ke uThao bahut andhera hai
ye ulTi sidhi uDane se faeda kya hai
suKHan ki shama jalao bahut andhera hai
wo aae mere tasawwur mein bole yun 'sajni'
mujhe na pas bulao bahut andhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.