mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga
mire ruḳhsār par aañsū kā qatra ruk gayā hogā
kisī kā ik hasīñ chehra bahut dhuñdlā gayā hogā
na jaane kis tarah se kar liyā apnā asiir us ne
hamāre saath chal kar duur tak vo aa gayā hogā
samundar kī hasīñ lahreñ kināre par rukeñ jaise
vo aise hī merī dahlīz par aa kar rukā hogā
mire ash.ār ke lafzoñ ko koī chhū na pā.egā
ki vo ik lafz mere lab pe aa kar ruk gayā hogā
taḌap jaate haiñ is miTTī kī ḳhushbū se kabhī ham to
hai is dhartī kā koī qarz jo yaad aa gayā hogā
ye ūñche ūñche parbat duur tak phaile hue saa.e
ye manzar apnī yādoñ meñ zamānoñ tak rahā hogā
kisī manzil pe to shāyad bahāreñ aa ga.ī hoñgī
koī to rāsta hogā jo phūloñ se sajā hogā
kisī maañ ke liye kitnī kaThin vo ik ghaḌī hogī
kisī bachche kā ḳhuun jis vaqt miTTī par bahā hogā
kisī kī yaad kī parchhā.iyāñ to saath rahtī haiñ
ye maanā vo samay kī dhuñd meñ gum ho gayā hogā
safar kitnā hasīñ ho 'nāz' ḳhvāboñ kā ḳhayāloñ kā
magar ye silsila phir TuuT kar bikhrā huā hogā
mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga
kisi ka ek hasin chehra bahut dhundla gaya hoga
na jaane kis tarah se kar liya apna asir us ne
hamare sath chal kar dur tak wo aa gaya hoga
samundar ki hasin lahren kinare par ruken jaise
wo aise hi meri dahliz par aa kar ruka hoga
mere ashaar ke lafzon ko koi chhu na paega
ki wo ek lafz mere lab pe aa kar ruk gaya hoga
taDap jate hain is miTTi ki KHushbu se kabhi hum to
hai is dharti ka koi qarz jo yaad aa gaya hoga
ye unche unche parbat dur tak phaile hue sae
ye manzar apni yaadon mein zamanon tak raha hoga
kisi manzil pe to shayad bahaaren aa gai hongi
koi to rasta hoga jo phulon se saja hoga
kisi man ke liye kitni kaThin wo ek ghaDi hogi
kisi bachche ka KHun jis waqt miTTi par baha hoga
kisi ki yaad ki parchhaiyan to sath rahti hain
ye mana wo samay ki dhund mein gum ho gaya hoga
safar kitna hasin ho 'naz' KHwabon ka KHayalon ka
magar ye silsila phir TuT kar bikhra hua hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.