mere sath sath aao naya mai-kada banao
mire saath saath aao nayā mai-kada banāo
kabhī maiñ tumheñ pilā.ūñ kabhī tum mujhe pilāo
ye ġharīb kā makāñ hai yahāñ farsh-e-gul kahāñ hai
jo ho baiThnā to aao sar-e-ḳhāk baiTh jaao
abhī tāb-e-imtihāñ hai abhī hausla javāñ hai
abhī aur zulm toḌo abhī aur zulm Dhaao
kabhī gir rahe haiñ aañsū kabhī uTh rahī haiñ aa.heñ
tumheñ kis ne kah diyā thā mire she'r gungunāo
mirī zindagī yahī hai ki har ik ko faiz pahuñche
maiñ charāġh-e-rah-guzar huuñ mujhe shauq se jalāo
mere sath sath aao naya mai-kada banao
kabhi main tumhein pilaun kabhi tum mujhe pilao
ye gharib ka makan hai yahan farsh-e-gul kahan hai
jo ho baiThna to aao sar-e-KHak baiTh jao
abhi tab-e-imtihan hai abhi hausla jawan hai
abhi aur zulm toDo abhi aur zulm Dhao
kabhi gir rahe hain aansu kabhi uTh rahi hain aahen
tumhein kis ne kah diya tha mere she'r gungunao
meri zindagi yahi hai ki har ek ko faiz pahunche
main charagh-e-rah-guzar hun mujhe shauq se jalao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.