mere sawal ka yaron se kya jawab mile
mire savāl kā yāroñ se kyā javāb mile
mile jo ahl-e-ḳhirad bhī to mahv-e-ḳhvāb mile
ye rang-o-bū to fareb-e-nazar ke jalve haiñ
mirī nigāh kā dhokā thā jo sarāb mile
talāsh-e-haq meñ kabhī us maqām tak pahuñchā
ki gard-e-rāh meñ dekhā to āftāb mile
mire ta.iiñ ye saḳhāvat are ma.āz-allāh
samundaroñ kī zarūrat ho aur janāb mile
qasam ḳhudā kī na jā.ūñgā sū-e-mai-ḳhāna
tirī nigāh se mujh ko agar sharāb mile
na jaane karne lage mujh se ab vo kyoñ parda
mile haiñ pahle vo jab bhī to be-hijāb mile
agar hai faḳhr to hai apnī bad-nasībī par
talāsh ḳhuub kī thī aur mujhe ḳharāb mile
tumhāre shahr meñ aa.e the sair karne ko
tumhāre shahr meñ mujh ko bahut azaab mile
sunā thā maiñ ne ki bāġh-o-bahār haiñ 'tishna'
hujūm-e-yās kā ik but bane janāb mile
mere sawal ka yaron se kya jawab mile
mile jo ahl-e-KHirad bhi to mahw-e-KHwab mile
ye rang-o-bu to fareb-e-nazar ke jalwe hain
meri nigah ka dhoka tha jo sarab mile
talash-e-haq mein kabhi us maqam tak pahuncha
ki gard-e-rah mein dekha to aaftab mile
mere tain ye saKHawat are maaz-allah
samundaron ki zarurat ho aur janab mile
qasam KHuda ki na jaunga su-e-mai-KHana
teri nigah se mujh ko agar sharab mile
na jaane karne lage mujh se ab wo kyon parda
mile hain pahle wo jab bhi to be-hijab mile
agar hai faKHr to hai apni bad-nasibi par
talash KHub ki thi aur mujhe KHarab mile
tumhaare shahr mein aae the sair karne ko
tumhaare shahr mein mujh ko bahut azab mile
suna tha main ne ki bagh-o-bahaar hain 'tishna'
hujum-e-yas ka ek but bane janab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.