mere shane pe rahne do abhi gesu zara Thahro
mere shane pe rahne do abhi gesu zara Thahro
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
mire shāne pe rahne do abhī gesū zarā Thahro
bikhar jaane do apne jism kī ḳhushbū zarā Thahro
adhūrā chhoḌ kar jaao na ye qissa mohabbat kā
chhanakte haiñ abhī armān ke ghuñghrū zarā Thahro
sukūn-e-qalb kī ḳhātir shab-e-furqat maiñ chūmūñgā
banā lene do tasvīr-e-lab-o-abrū zarā Thahro
mirī rag rag meñ jānāñ bhar gayā hai nasha-e-qurbat
utar jaa.e tumhāre lams kā jaadū zarā Thahro
ye mausam kā taqāza aur bhīgī shab kī hasrat hai
badalnā ishq meñ hai āḳhirī pahlū zarā Thahro
kaleja shaq huā jaa.e bichhaḌne ke tasavvur se
mohabbat dil meñ kartī hai ab hā-o-hū zarā Thahro
ravāñ hai ḳhuun kā dariyā mirī āñkhoñ se ai 'shamsī'
abhī raqsāñ hai dil meñ dard kā jugnū zarā Thahro
mere shane pe rahne do abhi gesu zara Thahro
bikhar jaane do apne jism ki KHushbu zara Thahro
adhura chhoD kar jao na ye qissa mohabbat ka
chhanakte hain abhi arman ke ghunghru zara Thahro
sukun-e-qalb ki KHatir shab-e-furqat main chumunga
bana lene do taswir-e-lab-o-abru zara Thahro
meri rag rag mein jaanan bhar gaya hai nasha-e-qurbat
utar jae tumhaare lams ka jadu zara Thahro
ye mausam ka taqaza aur bhigi shab ki hasrat hai
badalna ishq mein hai aaKHiri pahlu zara Thahro
kaleja shaq hua jae bichhaDne ke tasawwur se
mohabbat dil mein karti hai ab ha-o-hu zara Thahro
rawan hai KHun ka dariya meri aankhon se ai 'shamsi'
abhi raqsan hai dil mein dard ka jugnu zara Thahro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.