mere sine mein patthar so raha hai
mire siine meñ patthar so rahā hai
shikasta niiñd mahshar so rahā hai
agar jaagā to maiñ niklūñgā bāhar
abhī dīvār meñ dar so rahā hai
hamārī pyaas jaane kab bujhegī
ki hoñToñ par samundar so rahā hai
ajab bū aa rahī hai āstīñ se
ki jaise koī ḳhanjar so rahā hai
hilāne meñ lage haiñ log jis ko
usī buniyād par ghar so rahā hai
khaḌe ashjār patthar ban chuke haiñ
ki chashme par sikandar so rahā hai
mere sine mein patthar so raha hai
shikasta nind mahshar so raha hai
agar jaga to main niklunga bahar
abhi diwar mein dar so raha hai
hamari pyas jaane kab bujhegi
ki honTon par samundar so raha hai
ajab bu aa rahi hai aastin se
ki jaise koi KHanjar so raha hai
hilane mein lage hain log jis ko
usi buniyaad par ghar so raha hai
khaDe ashjar patthar ban chuke hain
ki chashme par sikandar so raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.