mere suKHan mein nae rang bharne wala hai
mire suḳhan meñ na.e rang bharne vaalā hai
falak se chāñd zamīñ par utarne vaalā hai
ye ek kaam to har shaḳhs karne vaalā hai
jo jī rahā hai yaqīnan vo marne vaalā hai
ye sāneha hai ajab ḳhema-e-badan se pare
sunā hai qāfila-e-jāñ Thaharne vaalā hai
nazar jhukā ke mirī samt dekhiye sāhib
sitāra ḳhaak se merī ubharne vaalā hai
sameT rakkhā hai jis ko ridā-e-furqat meñ
vo nūr-e-vasl koī dam bikharne vaalā hai
nahīñ ḳhabar hai kisī ko azaab chīḳhoñ kā
samā.atoñ kī zamīñ par utarne vaalā hai
huuñ sang-e-rāh koī shīsha-e-jamāl nahīñ
ye kaun dekh ke mujh ko sañvarne vaalā hai
rahā jo ḳhvāb meñ tamsīl-e-ā.ina ban kar
mirī nazar se vo manzar guzarne vaalā hai
kahīñ tabāh na kar de use ye ḳhabt 'ash.har'
havā ke par vo shikārī katarne vaalā hai
mere suKHan mein nae rang bharne wala hai
falak se chand zamin par utarne wala hai
ye ek kaam to har shaKHs karne wala hai
jo ji raha hai yaqinan wo marne wala hai
ye saneha hai ajab KHema-e-badan se pare
suna hai qafila-e-jaan Thaharne wala hai
nazar jhuka ke meri samt dekhiye sahib
sitara KHak se meri ubharne wala hai
sameT rakkha hai jis ko rida-e-furqat mein
wo nur-e-wasl koi dam bikharne wala hai
nahin KHabar hai kisi ko azab chiKHon ka
samaaton ki zamin par utarne wala hai
hun sang-e-rah koi shisha-e-jamal nahin
ye kaun dekh ke mujh ko sanwarne wala hai
raha jo KHwab mein tamsil-e-aina ban kar
meri nazar se wo manzar guzarne wala hai
kahin tabah na kar de use ye KHabt 'ashhar'
hawa ke par wo shikari katarne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.