mere suKHan se siyasat ki bu nahin aati
mire suḳhan se siyāsat kī bū nahīñ aatī
ghumā-phirā ke mujhe guftugū nahīñ aatī
vahī hunar hai vahī ham haiñ canvas pe magar
hamārī shakl kabhī hū-bahū nahīñ aatī
kiyā hai us ne tayammum nadī ke sāhil par
samajh meñ hujjat-e-tark-e-vuzū nahīñ aatī
hamārā dil bhī hai zaḳhmoñ se chūr-chūr bahut
sadā-e-dard magar kū-ba-kū nahīñ aatī
nibāh kartī agar vo tirī tarah mujh se
mirī hayāt meñ shāyad ki tū nahīñ aatī
vo baat aisī nahīñ thī ki bhuul jaatā maiñ
jo baat yaad tire rū-barū nahīñ aatī
mere suKHan se siyasat ki bu nahin aati
ghuma-phira ke mujhe guftugu nahin aati
wahi hunar hai wahi hum hain canwas pe magar
hamari shakl kabhi hu-bahu nahin aati
kiya hai us ne tayammum nadi ke sahil par
samajh mein hujjat-e-tark-e-wuzu nahin aati
hamara dil bhi hai zaKHmon se chur-chur bahut
sada-e-dard magar ku-ba-ku nahin aati
nibah karti agar wo teri tarah mujh se
meri hayat mein shayad ki tu nahin aati
wo baat aisi nahin thi ki bhul jata main
jo baat yaad tere ru-baru nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.