mere tasawwur mein aa rahe ho
mire tasavvur meñ aa rahe ho
mujhe nishāna banā rahe ho
abhī kahānī sunī nahīñ hai
ḳhayāl apnā sajā rahe ho
firāq meñ jo guzar ga.e din
usī meñ dil ko jalā rahe ho
mohabbatoñ meñ visāl lāzim
mujhe kahānī sunā rahe ho
maiñ pahle nādān thī mirī jaañ
abhī bhī pāgal banā rahe ho
mujhe ḳhasāre meñ Daal kar tum
zamīr apnā bachā rahe ho
kahīñ ye tum ko na maat de de
jo chaal apnī chalā rahe ho
mere tasawwur mein aa rahe ho
mujhe nishana bana rahe ho
abhi kahani suni nahin hai
KHayal apna saja rahe ho
firaq mein jo guzar gae din
usi mein dil ko jala rahe ho
mohabbaton mein visal lazim
mujhe kahani suna rahe ho
main pahle nadan thi meri jaan
abhi bhi pagal bana rahe ho
mujhe KHasare mein Dal kar tum
zamir apna bacha rahe ho
kahin ye tum ko na mat de de
jo chaal apni chala rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.