mere to jo bhi aas-pas hai udas hai
mire to jo bhī ās-pās hai udaas hai
jo shaḳhs bhī mirā qayās hai udaas hai
udāsī munsalik hai tan-badan se is tarah
ye tan pe mere jo libās hai udaas hai
badal gayā guloñ kā rang aa ke Theloñ pe
jo aatī in guloñ se baas hai udaas hai
batā batā ke thak chukā udāsī kā sabab
bilā-vajah hī dil udaas hai udaas hai
zarā nazar ghumā faqat udaas tū nahīñ
havā bhī aaj bad-havās hai udaas hai
tire milan se pahle shād-bāsh thā ye dil
lagī jo dil ko terī aas hai udaas hai
kabhī to aa ke ghuum jā mirā ye dil-nagar
zarā tire milan se yaas hai udaas hai
nasīb hī mirā ḳhafā hai mujh se is tarah
jo har tarah se mujh ko raas hai udaas hai
mere to jo bhi aas-pas hai udas hai
jo shaKHs bhi mera qayas hai udas hai
udasi munsalik hai tan-badan se is tarah
ye tan pe mere jo libas hai udas hai
badal gaya gulon ka rang aa ke Thelon pe
jo aati in gulon se bas hai udas hai
bata bata ke thak chuka udasi ka sabab
bila-wajah hi dil udas hai udas hai
zara nazar ghuma faqat udas tu nahin
hawa bhi aaj bad-hawas hai udas hai
tere milan se pahle shad-bash tha ye dil
lagi jo dil ko teri aas hai udas hai
kabhi to aa ke ghum ja mera ye dil-nagar
zara tere milan se yas hai udas hai
nasib hi mera KHafa hai mujh se is tarah
jo har tarah se mujh ko ras hai udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.