mere wajud ki qaem asas rahne de
mire vajūd kī qaa.em asaas rahne de
zamīñ ke jism pe koī libās rahne de
mirī tamām ḳhushī ḳhush-dilī se le jā tū
jo tere ġham haiñ vo sab mere paas rahne de
mujhe to piinā hai āñkhoñ se terī jī-bhar kar
tū mere sāmne ḳhālī gilās rahne de
kabhī kabhī mujhe tanhā.iyoñ meñ chhoḌ bhī de
kabhī kabhī to mujhe bhī udaas rahne de
ye talḳh lahja tirā dil ko kar na de ghāyal
zabān-o-lab pe zarā sī miThās rahne de
maiñ tujh se duur bahut ho ke jī na pā.ūñgā
tujhe qasam hai mujhe apne paas rahne de
tū merī pyaas kī shiddat bujhā nahīñ saktī
ai chashm-e-mast mire lab kī pyaas rahne de
ta'alluqāt na kar tark apne 'shādāñ' se
kabhī-kabhār to milne kī aas rahne de
mere wajud ki qaem asas rahne de
zamin ke jism pe koi libas rahne de
meri tamam KHushi KHush-dili se le ja tu
jo tere gham hain wo sab mere pas rahne de
mujhe to pina hai aankhon se teri ji-bhar kar
tu mere samne KHali gilas rahne de
kabhi kabhi mujhe tanhaiyon mein chhoD bhi de
kabhi kabhi to mujhe bhi udas rahne de
ye talKH lahja tera dil ko kar na de ghayal
zaban-o-lab pe zara si miThas rahne de
main tujh se dur bahut ho ke ji na paunga
tujhe qasam hai mujhe apne pas rahne de
tu meri pyas ki shiddat bujha nahin sakti
ai chashm-e-mast mere lab ki pyas rahne de
ta'alluqat na kar tark apne 'shadan' se
kabhi-kabhaar to milne ki aas rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.