mere wajud ko miTTi se yun uThaya gaya
mire vajūd ko miTTī se yuuñ uThāyā gayā
ki mujh ko lā.iq-e-sajda kabhī banāyā gayā
phir is jahān se mujh ko zamīñ pe laayā gayā
charāġh thā maiñ kidhar kā kidhar jalāyā gayā
isī liye to zamīñ roz mujh se māñgtī hai
vo merā jism jo miTTī se thā uThāyā gayā
phir ek hukm-e-haqīqī badan se niklā yuuñ
ki āsmān pe merā qadīm saaya gayā
maiñ shab ke āḳhirī pahroñ meñ DhūñDne niklā
bashar kā raaz bashar meñ kahāñ chhupāyā gayā
mere wajud ko miTTi se yun uThaya gaya
ki mujh ko laiq-e-sajda kabhi banaya gaya
phir is jahan se mujh ko zamin pe laya gaya
charagh tha main kidhar ka kidhar jalaya gaya
isi liye to zamin roz mujh se mangti hai
wo mera jism jo miTTi se tha uThaya gaya
phir ek hukm-e-haqiqi badan se nikla yun
ki aasman pe mera qadim saya gaya
main shab ke aaKHiri pahron mein DhunDne nikla
bashar ka raaz bashar mein kahan chhupaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.