mere wajud mein ab aashiqi ki chah kahan
mire vajūd meñ ab āshiqī kī chaah kahāñ
ki mujh sā shaḳhs kahāñ aur ye gunāh kahāñ
abhī mile haiñ mohabbat meñ chand hī aañsū
abhī hue ho mire yaar tum tabāh kahāñ
kisī ko chhoḌ ke vo aur kisī ke paas gayā
ki mushrikoñ se huā hai kabhī nibāh kahāñ
gunāhgāroñ kī izzat agar yuuñ hotī rahī
to aise haal meñ jā.eñge be-gunāh kahāñ
ai rāhgīr rah-e-ishq kyā ye jānte ho
ki le ke jā.egī tum ko tumhārī raah kahāñ
mujhe yaqīñ haiñ ye rab kā to intiḳhāb na thā
ruḳh-e-hasīn kahāñ chehra-e-siyāh kahāñ
sunā.eñ kyoñ na raqīboñ ko hāl-e-dil apnā
ki mere dost rahe mere ḳhair-ḳhvāh kahāñ
mere wajud mein ab aashiqi ki chah kahan
ki mujh sa shaKHs kahan aur ye gunah kahan
abhi mile hain mohabbat mein chand hi aansu
abhi hue ho mere yar tum tabah kahan
kisi ko chhoD ke wo aur kisi ke pas gaya
ki mushrikon se hua hai kabhi nibah kahan
gunahgaron ki izzat agar yun hoti rahi
to aise haal mein jaenge be-gunah kahan
ai rahgir rah-e-ishq kya ye jaante ho
ki le ke jaegi tum ko tumhaari rah kahan
mujhe yaqin hain ye rab ka to intiKHab na tha
ruKH-e-hasin kahan chehra-e-siyah kahan
sunaen kyon na raqibon ko haal-e-dil apna
ki mere dost rahe mere KHair-KHwah kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.