mere wajud mein paiwast gham ke tiron ko
mire vajūd meñ paivast ġham ke tīroñ ko
ḳhudā banā.e rakhe haath key lakīroñ ko
ḳhud apne ghar meñ nahīñ aaj ismateñ mahfūz
nagar ke biich bhī ḳhatra hai rāhgīroñ ko
lahū diyā hai chalo aaj dil bhī de aa.eñ
diloñ kī saḳht zarūrat hai kuchh amīroñ ko
hunar na dekh sakī koī aañkh bhī lekin
hamāre aib nazar aa.e be-basīroñ ko
ḳhulūs chāhiye 'anjum' to jhoñpaḌoñ meñ chalo
mahal se bhiik milī hai kabhī faqīroñ ko
mere wajud mein paiwast gham ke tiron ko
KHuda banae rakhe hath key lakiron ko
KHud apne ghar mein nahin aaj ismaten mahfuz
nagar ke bich bhi KHatra hai rahgiron ko
lahu diya hai chalo aaj dil bhi de aaen
dilon ki saKHt zarurat hai kuchh amiron ko
hunar na dekh saki koi aankh bhi lekin
hamare aib nazar aae be-basiron ko
KHulus chahiye 'anjum' to jhonpaDon mein chalo
mahal se bhik mili hai kabhi faqiron ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.