mere wajud se farigh kiya gaya mujhko
mire vajūd se fāriġh kiyā gayā mujh ko
phir e'timād meñ kaise liyā gayā mujh ko
maiñ us fasīl se bāhar nikal to aatā magar
mirī zabān ke andar siyā gayā mujh ko
phir us se kaise jalātā maiñ koī aur charāġh
diyā jalā ke havā meñ diyā gayā mujh ko
tabhī to us ne mujhe mārne kī koshish kī
maiñ mar gayā to maze se jiyā gayā mujh ko
phir ek dasht numūdār ho gayā mujh meñ
maiñ ek dariyā thā kaise piyā gayā mujh ko
maiñ apne qad se baḌā honā chāhtā thā magar
mire vajūd se chhoTā kiyā gayā mujh ko
koī bhī chāñd chiḌhāyā nahīñ gayā mujh se
agarche haath meñ sūraj diyā gayā mujh ko
mere wajud se farigh kiya gaya mujh ko
phir e'timad mein kaise liya gaya mujh ko
main us fasil se bahar nikal to aata magar
meri zaban ke andar siya gaya mujh ko
phir us se kaise jalata main koi aur charagh
diya jala ke hawa mein diya gaya mujh ko
tabhi to us ne mujhe marne ki koshish ki
main mar gaya to maze se jiya gaya mujh ko
phir ek dasht numudar ho gaya mujh mein
main ek dariya tha kaise piya gaya mujh ko
main apne qad se baDa hona chahta tha magar
mere wajud se chhoTa kiya gaya mujh ko
koi bhi chand chiDhaya nahin gaya mujh se
agarche hath mein suraj diya gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.