meri aah jab kargar ho gai
mirī aah jab kārgar ho ga.ī
to sīdhī tumhārī nazar ho ga.ī
na puurī huī dil kī koī umiid
yūñhī umr apnī basar ho ga.ī
ġhazab ho gayā tum pe dil aa gayā
zamāne meñ is kī ḳhabar ho ga.ī
tamanna ye hai tujh ko dekhā kareñ
mohabbat tirī kis qadar ho ga.ī
mirī vahshat-e-dil pe vo ro diye
ilāhī unheñ kyā ḳhabar ho ga.ī
tujhe kuchh mohabbat se inkār hai
mujhe terī ulfat magar ho ga.ī
meri aah jab kargar ho gai
to sidhi tumhaari nazar ho gai
na puri hui dil ki koi umid
yunhi umr apni basar ho gai
ghazab ho gaya tum pe dil aa gaya
zamane mein is ki KHabar ho gai
tamanna ye hai tujh ko dekha karen
mohabbat teri kis qadar ho gai
meri wahshat-e-dil pe wo ro diye
ilahi unhen kya KHabar ho gai
tujhe kuchh mohabbat se inkar hai
mujhe teri ulfat magar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.