meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya
mirī āh-o-fuġhāñ se be-samā.at ho ga.e ho kyā
abhī to ibtidā kī hai abhī se so ga.e ho kyā
bhare bāzār meñ tanhā.iyoñ ko DhūñDne vaalo
mire zauq-e-junūñ meñ tum bhī shāmil ho ga.e ho kyā
vo gul jis ke liye ye āsmāñ mausam badaltā hai
usī kā biij merī ḳhāk-e-jāñ meñ bo ga.e ho kyā
koī āvāz kyuuñ dete nahīñ sāñsoñ ke markaz se
ki tum bhī zindagī ke pech-o-ḳham meñ kho ga.e ho kyā
kabhī jhāñkā hai tum ne Dūbte sūraj kī āñkhoñ meñ
kabhī tum jhiil ke us paar bhī yaaro ga.e ho kyā
ye be-ḳhvābī kā aalam aur har aahaT pe chauñk uThnā
darīcha kyuuñ khulā rakhte ho pāgal ho ga.e ho kyā
vo jis par ḳhema-zan the qāfile lailā-parastoñ ke
kabhī us rāste par bhī batāo to ga.e ho kyā
zamāne ko kabhī tasvīr-e-hairat ban ke dekhā hai
kabhī be-samt rāhoñ par bhī durveshoñ ga.e ho kyā
zamāne ko kabhī tasvīr-e-hairat ban ke dekhā hai
kabhī be-samt rāhoñ par bhī durveshoñ ga.e ho kyā
sunāoge kahāñ tak dāstān-e-ḳhair-o-shar apnī
'ziyā' is dasht-e-jāñ meñ ban ke qissa-go ga.e ho kyā
meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya
abhi to ibtida ki hai abhi se so gae ho kya
bhare bazar mein tanhaiyon ko DhunDne walo
mere zauq-e-junun mein tum bhi shamil ho gae ho kya
wo gul jis ke liye ye aasman mausam badalta hai
usi ka bij meri KHak-e-jaan mein bo gae ho kya
koi aawaz kyun dete nahin sanson ke markaz se
ki tum bhi zindagi ke pech-o-KHam mein kho gae ho kya
kabhi jhanka hai tum ne Dubte suraj ki aankhon mein
kabhi tum jhil ke us par bhi yaro gae ho kya
ye be-KHwabi ka aalam aur har aahaT pe chaunk uThna
daricha kyun khula rakhte ho pagal ho gae ho kya
wo jis par KHema-zan the qafile laila-paraston ke
kabhi us raste par bhi batao to gae ho kya
zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai
kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya
zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai
kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya
sunaoge kahan tak dastan-e-KHair-o-shar apni
'ziya' is dasht-e-jaan mein ban ke qissa-go gae ho kya
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 63)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.