meri aahen mere nale meri sansen uski
mirī aaheñ mire naale mirī sāñseñ us kī
sub.h hai naam usī ke mirī shāmeñ us kī
us ne bhī khul ke kiye pyaar ke da.ave mujh se
maiñ bhī elāniya karne lagā bāteñ us kī
phir mahaktī huī tanhā.iyoñ ne gher liyā
mausam-e-gul kī tarah aa ga.iiñ yādeñ us kī
intizār us ko hama-vaqt mirā rahtā hai
mirī aahaT se dhaḌak jaatī haiñ rāheñ us kī
laakh gum-karda-e-manzil kahāñ jaa.e lekin
DhūñD hī letī haiñ 'rizvāñ' ko panāheñ us kī
meri aahen mere nale meri sansen us ki
subh hai nam usi ke meri shamen us ki
us ne bhi khul ke kiye pyar ke dawe mujh se
main bhi elaniya karne laga baaten us ki
phir mahakti hui tanhaiyon ne gher liya
mausam-e-gul ki tarah aa gain yaaden us ki
intizar us ko hama-waqt mera rahta hai
meri aahaT se dhaDak jati hain rahen us ki
lakh gum-karda-e-manzil kahan jae lekin
DhunD hi leti hain 'rizwan' ko panahen us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.