meri aankhon ka us se rabta hai
mirī āñkhoñ kā us se rābta hai
jise dekhe hue 'arsa huā hai
sabab maiñ jāntā huuñ āñsuoñ kā
tumhārī aañkh meñ tinkā girā hai
hamāre saath kyoñ tum jāgte ho
hameñ to jāgne kā āriza hai
mire baare meñ kuchh kahne se pahle
batā mujh ko tū kitnā jāntā hai
musāfir hai yaqīnan aadmī vo
jo itnī bhiiḌ meñ tanhā khaḌā hai
meri aankhon ka us se rabta hai
jise dekhe hue 'arsa hua hai
sabab main jaanta hun aansuon ka
tumhaari aankh mein tinka gira hai
hamare sath kyon tum jagte ho
hamein to jagne ka aariza hai
mere bare mein kuchh kahne se pahle
bata mujh ko tu kitna jaanta hai
musafir hai yaqinan aadmi wo
jo itni bhiD mein tanha khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.