meri aankhon ke wo Thahre hue pani mein rahte hain
mirī āñkhoñ ke vo Thahre hue paanī meñ rahte haiñ
zamāna be-adab hai merī nigarānī meñ rahte haiñ
basā lete haiñ jo āñkhoñ meñ sapne āshiyānoñ ke
hamesha vo parinde hī pareshānī meñ rahte haiñ
ghaTā muhtāj rahtī hai tirī āñkhoñ ke kājal kī
hañsī ke kārvāñ phūloñ kī afshānī meñ rahte haiñ
maiñ chhoḌ aaya thā āñkheñ muntazir un ke darīche meñ
hamesha vo isī jur.at pe hairānī meñ rahte haiñ
jhalak hai ġhuncha-o-gul ke lahū kī us kī āñkhoñ meñ
ajab maalī hai jis kī ham nigahbānī meñ rahte haiñ
khulī āñkheñ bhī hoñ milnā sañbhal kar phir bhī ai 'rāhat'
darinde bhī chhupe ab jism-e-insānī meñ rahte haiñ
meri aankhon ke wo Thahre hue pani mein rahte hain
zamana be-adab hai meri nigarani mein rahte hain
basa lete hain jo aankhon mein sapne aashiyanon ke
hamesha wo parinde hi pareshani mein rahte hain
ghaTa muhtaj rahti hai teri aankhon ke kajal ki
hansi ke karwan phulon ki afshani mein rahte hain
main chhoD aaya tha aankhen muntazir un ke dariche mein
hamesha wo isi jurat pe hairani mein rahte hain
jhalak hai ghuncha-o-gul ke lahu ki us ki aankhon mein
ajab mali hai jis ki hum nigahbani mein rahte hain
khuli aankhen bhi hon milna sanbhal kar phir bhi ai 'rahat'
darinde bhi chhupe ab jism-e-insani mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.