meri aankhon mein chhae ja rahe hain
mirī āñkhoñ meñ chhā.e jā rahe haiñ
vo aise yaad aa.e jā rahe haiñ
zamāne hī ko ham ilzām deñge
ye kyoñ patthar uThā.e jā rahe haiñ
inheñ roko na pahuñche anjuman meñ
ye mehmāñ bin-bulā.e jā rahe haiñ
utar aaya muñDeroñ se ye sūraj
makāñ se duur saa.e jā rahe haiñ
nadī ke ghaaT se 'māñjhī' kahīñ chal
yahāñ to dil dukhā.e jā rahe haiñ
meri aankhon mein chhae ja rahe hain
wo aise yaad aae ja rahe hain
zamane hi ko hum ilzam denge
ye kyon patthar uThae ja rahe hain
inhen roko na pahunche anjuman mein
ye mehman bin-bulae ja rahe hain
utar aaya munDeron se ye suraj
makan se dur sae ja rahe hain
nadi ke ghaT se 'manjhi' kahin chal
yahan to dil dukhae ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.