meri aankhon mein jo thoDi si nami rah gai hai
mirī āñkhoñ meñ jo thoḌī sī namī rah ga.ī hai
bas yahī ishq kī sauġhāt bachī rah ga.ī hai
vaqt ke saath hī gul ho ga.e vahshat ke charāg
ik siyāhī hai jo tāqoñ pe abhī rah ga.ī hai
aur kuchh der Thahar ai mirī bīnā.ī ki maiñ
dekh luuñ ruuh meñ jo baḳhiya-garī rah ga.ī hai
ā.īno tum hī kaho kyā hai mire hoñToñ par
log kahte haiñ ki phīkī sī hañsī rah ga.ī hai
bojh sūraj kā to maiñ kab kā utaar aayā magar
dhuup jo sar pe dharī thī so dharī rah ga.ī hai
kuchh batā ai mare nisyān ye kyā mājrā hai
baat jo bhūlne vaalī thī vahī rah ga.ī hai
yuuñ to is ghar ke dar-o-bām sabhī TuuT ga.e
haañ magar biich kī dīvār abhī rah ga.ī hai
sochtā huuñ ki tasavvur ko sameTūñ kaise
bistar-e-ḳhvāb pe bhī aañkh khulī rah ga.ī hai
jaane kyā baat hai mausam meñ 'ziyā' ab ke baras
dhuup ke hote hue barf jamī rah ga.ī hai
meri aankhon mein jo thoDi si nami rah gai hai
bas yahi ishq ki saughat bachi rah gai hai
waqt ke sath hi gul ho gae wahshat ke charag
ek siyahi hai jo taqon pe abhi rah gai hai
aur kuchh der Thahar ai meri binai ki main
dekh lun ruh mein jo baKHiya-gari rah gai hai
aaino tum hi kaho kya hai mere honTon par
log kahte hain ki phiki si hansi rah gai hai
bojh suraj ka to main kab ka utar aaya magar
dhup jo sar pe dhari thi so dhari rah gai hai
kuchh bata ai mare nisyan ye kya majra hai
baat jo bhulne wali thi wahi rah gai hai
yun to is ghar ke dar-o-baam sabhi TuT gae
han magar bich ki diwar abhi rah gai hai
sochta hun ki tasawwur ko sameTun kaise
bistar-e-KHwab pe bhi aankh khuli rah gai hai
jaane kya baat hai mausam mein 'ziya' ab ke baras
dhup ke hote hue barf jami rah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.