meri aarzu nae rup bhar ke hazar phul khilaegi
mirī aarzū na.e ruup bhar ke hazār phuul khilā.egī
mujhe apne baaġh se ishq hai to kabhī bahār bhī aa.egī
mire sāthiyoñ ne qadam qadam pe diye bujhā bhī diye to kyā
na.e rāstoñ meñ na.ī umang na.e charāġh jalā.egī
mire ġham pe ta.ana-zanī na kar maiñ nahīñ huuñ munkir-e-sarḳhushī
abhī sogvār hai zindagī kabhī gā sakegī to gā.egī
maiñ chaman-parast sahī magar mujhe apne dil se ye ḳhauf hai
jo chaman kā haal yahī rahā to qafas kī yaad satā.egī
jinheñ kal kī koī ḳhabar nahīñ vo ġham-e-ḳhizāñ kā gila kareñ
mujhe ye yaqīñ hai ki fasl-e-gul jo ab aa.egī to na jā.egī
meri aarzu nae rup bhar ke hazar phul khilaegi
mujhe apne bagh se ishq hai to kabhi bahaar bhi aaegi
mere sathiyon ne qadam qadam pe diye bujha bhi diye to kya
nae raston mein nai umang nae charagh jalaegi
mere gham pe tana-zani na kar main nahin hun munkir-e-sarKHushi
abhi sogwar hai zindagi kabhi ga sakegi to gaegi
main chaman-parast sahi magar mujhe apne dil se ye KHauf hai
jo chaman ka haal yahi raha to qafas ki yaad sataegi
jinhen kal ki koi KHabar nahin wo gham-e-KHizan ka gila karen
mujhe ye yaqin hai ki fasl-e-gul jo ab aaegi to na jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.