meri aawaz mujhko de de pyare
mirī āvāz mujh ko de de pyāre
suḳhan ke raaz mujh ko de de pyāre
maiñ terā āsmāñ jī bhar ke dekhūñ
par-e-parvāz mujh ko de de pyāre
na.ī taḳhlīq kar kaun-o-makāñ kī
ye TuuTe saaz mujh ko de de pyāre
batā mujh meñ tirā kyā kuchh nahīñ hai
mire kuchh raaz mujh ko de de pyāre
tujhe chāhūñ tirā hī naam luuñ maiñ
mirā āġhāz mujh ko de de pyāre
pukārūñgā tujhe kis kis jagah maiñ
kabhī āvāz mujh ko de de pyāre
batā kab tak rahūñ maiñ duur tujh se
mirā andāz mujh ko de de pyāre
maiñ adnā harf terī dāstāñ kā
koī hamrāz mujh ko de de pyāre
mujhe mahdūd rakh apnī anā meñ
zamīñ ke raaz mujh ko de de pyāre
meri aawaz mujh ko de de pyare
suKHan ke raaz mujh ko de de pyare
main tera aasman ji bhar ke dekhun
par-e-parwaz mujh ko de de pyare
nai taKHliq kar kaun-o-makan ki
ye TuTe saz mujh ko de de pyare
bata mujh mein tera kya kuchh nahin hai
mere kuchh raaz mujh ko de de pyare
tujhe chahun tera hi nam lun main
mera aaghaz mujh ko de de pyare
pukarunga tujhe kis kis jagah main
kabhi aawaz mujh ko de de pyare
bata kab tak rahun main dur tujh se
mera andaz mujh ko de de pyare
main adna harf teri dastan ka
koi hamraaz mujh ko de de pyare
mujhe mahdud rakh apni ana mein
zamin ke raaz mujh ko de de pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.