meri ana ka taqaza hai kya na jaane kya
mirī anā kā taqāzā hai kyā na jaane kyā
mire vujūd se le jā.egā na jaane kyā
hai tere shahr kī āb-o-havā na jaane kyā
koī to baat hai is meñ judā na jaane kyā
añdhere raat ke kuchh aur ho ga.e gahre
lapak uThā thā kahīñ nuur sā na jaane kyā
mirā hī chehra dikhāne ke vāste mujh ko
karegā mujh se talab aa.ina na jaane kyā
muhīb ḳhāmushī chhā.ī hai shahr-andar-shahr
uḌā ke le ga.ī pāgal havā na jaane kyā
azal hī se maiñ sanā-ḳhvān-e-nik.hat-o-gul huuñ
hai mere vāste bād-e-sabā na jaane kyā
bhare zamāne ko dushman banā liyā us ne
tamām 'umr vo kartā rahā na jaane kyā
kabhī kabhī to vo ḳhud se bhī ho gayā munkir
kabhī kabhī to use ho gayā na jaane kyā
ḳhud apne ḳhuun meñ ḳhanjar Dubo liyā us ne
ḳhushī kā lamha use kar gayā na jaane kyā
huī jo us se mulāqāt aaj barsoñ baa'd
to yuuñ lagā ki mujhe mil gayā na jaane kyā
vo chalte chalte achānak Thahar gayā 'tanhā'
havā ne kaan meñ us ke kahā na jaane kyā
meri ana ka taqaza hai kya na jaane kya
mere wujud se le jaega na jaane kya
hai tere shahr ki aab-o-hawa na jaane kya
koi to baat hai is mein juda na jaane kya
andhere raat ke kuchh aur ho gae gahre
lapak uTha tha kahin nur sa na jaane kya
mera hi chehra dikhane ke waste mujh ko
karega mujh se talab aaina na jaane kya
muhib KHamushi chhai hai shahr-andar-shahr
uDa ke le gai pagal hawa na jaane kya
azal hi se main sana-KHwan-e-nikhat-o-gul hun
hai mere waste baad-e-saba na jaane kya
bhare zamane ko dushman bana liya us ne
tamam 'umr wo karta raha na jaane kya
kabhi kabhi to wo KHud se bhi ho gaya munkir
kabhi kabhi to use ho gaya na jaane kya
KHud apne KHun mein KHanjar Dubo liya us ne
KHushi ka lamha use kar gaya na jaane kya
hui jo us se mulaqat aaj barson ba'd
to yun laga ki mujhe mil gaya na jaane kya
wo chalte chalte achanak Thahar gaya 'tanha'
hawa ne kan mein us ke kaha na jaane kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.