meri basti mein jitni laDkiyan hain
mirī bastī meñ jitnī laḌkiyāñ haiñ
ḳhudā kā shukr parde vāliyāñ haiñ
maiñ insāñ huuñ farishta to nahīñ huuñ
so mujh meñ bhī yaqīnan ḳhāmiyāñ haiñ
tumhāre bin merī hālat hai aisī
binā paanī ke jaisī kashtiyāñ haiñ
chaleñ socheñ zarā is mas.ale par
hamāre darmiyāñ kyoñ dūriyāñ haiñ
maiñ ḳhud ko kyoñ bhalā samjhūñgā tanhā
mirī hamdam mirī tanhā.iyāñ haiñ
kabhī logoñ ke chehre bhī paḌhā kar
raqam chehroñ pe bhī sachchā.iyāñ haiñ
hamāre apne bhī haiñ ajnabī se
hamārī jab se ḳhālī jholiyāñ haiñ
hamāre des meñ me.ār-e-izzat
nahīñ insāniyat bas kursiyāñ haiñ
marī vaale bhī aate haiñ yahāñ par
ki baltistāñ meñ aisī vādiyāñ haiñ
ḳhayānat mat karo ḳhāk-e-vatan se
ki tere tan pe ḳhākī vardiyāñ haiñ
chhapī hai in meñ zālim kī tabāhī
lab-e-mazlūm par jo siskiyāñ haiñ
ise kahte haiñ phūloñ se mohabbat
hamesha gulsitāñ meñ titliyāñ haiñ
na ghūro raah chaltī laḌkiyoñ ko
tumhāre ghar meñ bhī to beTiyāñ haiñ
vo jin ko dekh kar rab yaad aa.e
jahāñ meñ aisī bhī kuchh hastiyāñ haiñ
uThā laa.e to ho tum sīpiyoñ ko
muzayyan motiyoñ se sīpiyāñ haiñ
na ghabrānā ai 'nūrī' mushkiloñ se
ki mushkil meñ chhupī āsāniyāñ haiñ
meri basti mein jitni laDkiyan hain
KHuda ka shukr parde waliyan hain
main insan hun farishta to nahin hun
so mujh mein bhi yaqinan KHamiyan hain
tumhaare bin meri haalat hai aisi
bina pani ke jaisi kashtiyan hain
chalen sochen zara is masale par
hamare darmiyan kyon duriyan hain
main KHud ko kyon bhala samjhunga tanha
meri hamdam meri tanhaiyan hain
kabhi logon ke chehre bhi paDha kar
raqam chehron pe bhi sachchaiyan hain
hamare apne bhi hain ajnabi se
hamari jab se KHali jholiyan hain
hamare des mein mear-e-izzat
nahin insaniyat bas kursiyan hain
mari wale bhi aate hain yahan par
ki baltistan mein aisi wadiyan hain
KHayanat mat karo KHak-e-watan se
ki tere tan pe KHaki wardiyan hain
chhapi hai in mein zalim ki tabahi
lab-e-mazlum par jo siskiyan hain
ise kahte hain phulon se mohabbat
hamesha gulsitan mein titliyan hain
na ghuro rah chalti laDkiyon ko
tumhaare ghar mein bhi to beTiyan hain
wo jin ko dekh kar rab yaad aae
jahan mein aisi bhi kuchh hastiyan hain
uTha lae to ho tum sipiyon ko
muzayyan motiyon se sipiyan hain
na ghabrana ai 'nuri' mushkilon se
ki mushkil mein chhupi aasaniyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.